gum-sum hava ke ped se lipta hua huun men
katbe pe apne haath se likkha hua huun main
ankhon men vasvason ki nai niind bas gai
so jaun ek umr se jaaga hua huun main
yarab ragon men khuun ki hiddat nahin rahi
ya karb ki salib pe latka hua huun main
apni bulandiyon se girun bhi to kis tarah
phaili hui fazaon men bikhra hua huun main
patte gire to aur bhi aaseb ban gae
vo shor hai ki khud se bhi sahma hua huun main
shakhon se tutne ki sada duur tak gai
mahsus ho raha hai ki tuuta hua huun main
vo aag hai ki saari jaden jal ke rah gaiin
vo zahr hai ki phuul se kanta hua huun main
katte hue tane ka bhi nocha gaya libas
gir kar zamin pe aur bhi rusva hua huun main
‘afzal’ main sochta huun ye kya ho gaya mujhe
mitti mili to aur bhi chatkha hua huun main
Leave a Reply