shab-e-visal ye kahte hain vo suna ke mujhe
kisi ne luuT liya apne ghar bula ke mujhe
pukarta nahin koi lahad par aa ke mujhe
mire nasib bhi kya so rahe sula ke mujhe
vo bole vasl ke shab aap men na pa ke mujhe
chale ga.e hain kahan apne ghar bula ke mujhe
gira diya hai kuchh is tarah us ne ankhon se
ki dekhta nahin koi nazar uTha ke mujhe
pari thi koi chhalava thi ya javani thi
kahan ye ho ga.i champat jhalak dikha ke mujhe
tumhari bazm men aa.e to jam-e-mai mujh tak
bala se de de koi zahr hi mila ke mujhe
uTha jo bazm se un ki to rok kar ye kaha
ki le chale ho kahan dil men tum chhupa ke mujhe
ye tere hijr ka gham tha vo tere ishq ka daagh
gaya jo kha ke mujhe jo miTa miTa ke mujhe
jahan pe jaate hue mere hosh uḌte hain
tira ḳhayal vahan le chala laga ke mujhe
mujhe hai ghash unhen hairat ajiib aalam hai
main kho gaya huun unhen dekh kar vo pa ke mujhe
miri nigah men phirti hai meri maut ki shakl
jab aap dekhte hain tevriyan chaḌha ke mujhe
na dekho a.ina dekho mira kaha maano
dikhao ghair ko surat na munh dikha ke mujhe
taḌap le dil ki ye kah kah ke koi aata hai
biTha diya hai lahad men uTha uTha ke mujhe
gale laga de karun pyaar teri tegh ko main
ki yaad aa.e karishme tiri ada ke mujhe
ye mere rone pe hansti hai kyuun miri taqdir
vo apne dil men to kuḌhte nahin rula ke mujhe
jo miTTi di hai to ab fatiha bhi paḌhte jaao
kuchh ab savab bhi lo ḳhaak men mila ke mujhe
‘hafiz’ hashr men kar hi chuka tha main fariyad
ki us ne DaanT diya samne se aa ke mujhe
Leave a Reply