mira ḳhamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena
zaban se kuchh na kahna dekh kar aansu baha dena
nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala Thahra
ki do tinke jahan par dekhna bijli gira dena
main is halat se pahuncha hashr vaale ḳhud pukar uTThe
koi fariyad vaala aa raha hai rasta dena
ijazat ho to kah duun qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasana yaad hai kuchh tum suna dena
main mujrim huun mujhe iqrar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pahle to ḳhat par ghaur kar lo phir saza dena
haTa kar ruḳh se gesu sub.h kar dena to mumkin hai
magar sarkar ke bas men nahin taare chhupa dena
ye tahzib-e-chaman badli hai bairuni havaon ne
gareban-chak phulon par kali ka muskura dena
‘qamar’ vo sab se chhup kar aa rahe hain fatiha paḌhne
kahun kis se ki meri sham-e-turbat ko bujha dena
Leave a Reply