mizhgan-e-tar huun ya rag-e-tak-e-burida huun
jo kuchh ki huun so huun gharaz afat-rasida huun
khinche hai duur aap ko meri farotani
uftada huun pa saya-e-qadd-e-kashida huun
har shaam misl-e-sham huun main tira-rozgar
har subh misl-e-subh gareban-darida huun
karti hai bu-e-gul tu mire saath ikhtilat
par aah main to mauj-e-nasim-e-dazida huun
tu chahti hai to tapish-e-dil ki baad-e-marg
kunj-e-mazar men bhi na main armida huun
ai ‘dard’ ja chuka hai mira kaam zabt se
main gham-zada to qatra-e-ashk-e-chakida huun
Leave a Reply