miTti hui tahzib se nafrat na kiya kar
chaupal pe buḌhon ki kahani bhi suna kar
ma.alum hua hai ye parindon ki zabani
tham ja.ega tufan daraḳhton ko gira kar
pital ke kaTore bhi nahin apne gharon men
ḳhairat men chandi ka taqaza na kiya kar
mumkin hai garebanon men ḳhanjar bhi chhupe hon
tu shahr-e-aman men bhi na be-ḳhauf phira kar
mange hue suraj se to behtar hai andhera
tu mere liye apne ḳhuda se na dua kar
tahrir ka ye aḳhiri rishta bhi gaya TuuT
tanha huun main kitna tire maktub jala kar
aati hain agar raat ko rone ki sada.en
ham-sa.e ka ahval kabhi puchh liya kar
vo qaht-e-ziya hai ki mire shahar ke kuchh log
jugnu ko liye phirte hain muTThi men daba kar
Leave a Reply