qadam sambhal ke baḌhao ki raushni kam hai
agar ye bhuul na jaao ki raushni kam hai
gharon ko aag lagao ki raushni kam hai
yahin se baat banao ki raushni kam hai
javab ye ki koi rahnuma-e-qaum hain aap
agar kisi ko batao ki raushni kam hai
sahar ko shaam samajhna jo bas ki baat nahin
yahi saval uThao ki raushni kam hai
sharik-e-bazm-e-siyasat hain kuchh bure chehre
zara qarib to aao ki raushni kam hai
sada lagao ki ankhen ajiib ne.amat hain
unhen yaqin dilao ki raushni kam hai
kahin jhapaT na paḌen din men mash.alen le kar
avaam ko na sujhao ki raushni kam hai
rava nahin ki kisi Dubte sitare ko
charagh-e-rah banao ki raushni kam hai
savad-e-sham ke ḳhamosh jugnuon se kaho
tumhin charagh jalao ki raushni kam hai
zara pahunch ke to dekho savad-e-manzil tak
tum is ḳhabar pe na jaao ki raushni kam hai
hazar saal to rahta nahin uburi daur
fasad ḳhuub ugaao ki raushni kam hai
ye sha.eran-e-ghalat-bin kahenge ik din ‘shad’
hamen charagh dikhao ki raushni kam hai
Leave a Reply