khudi ki shokhi o tundi men kibr-o-naz nahin
jo naaz ho bhi to be-lazzat-e-niyaz nahin
nigah-e-ishq dil-e-zinda ki talash men hai
shikar-e-murda saza-var-e-shahbaz nahin
miri nava men nahin hai ada-e-mahbubi
ki bang-e-sur-e-sarafil dil-navaz nahin
saval-e-mai na karun saqi-e-farang se main
ki ye tariqa-e-rindan-e-pak-baz nahin
hui na aam jahan men kabhi hukumat-e-ishq
sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin
ik iztirab musalsal ghayab ho ki huzur
main khud kahun to miri dastan daraz nahin
agar ho zauq to khalvat men padh zubur-e-ajam
fughan-e-nim-shabi be-nava-e-raz nahin
Leave a Reply