mohabbat ka dikhava kar raha hai
vo mere saath dhoka kar raha hai
sama.at ne azaan jab se suni hai
mira iman sajda kar raha hai
jise masnad ki chahat ho ga.i hai
vahi lashon ka dhanda kar raha hai
ibadat ilm ki aghosh men hai
koi qatre ko dariya kar raha hai
koi masruf hai shukr-e-ḳhuda men
koi din-rat shikva kar raha hai
jahan men kis liye bheja gaya tha
magar ‘mashkur’ kya kya kar raha hai
Leave a Reply