• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Misal-E-Sang paDa Kab Tak Intizar Karun

Misal-E-Sang paDa Kab Tak Intizar Karun

misal-e-sang paḌa kab tak intizar karun

pighalne men jo ravani hai iḳhtiyar karun

ḳhabar nahin vahan tu kaun se libas men ho

main kaise alam-e-pinhan ko ashkar karun

ba-rang-e-mauja-e-ḳhushbu uḌa uḌa phire tu

main apne qurb se kyuun tujh ko zer-e-bar karun

main dekhta huun use kaise kaise rangon men

kashid-e-rang karun aur baar baar karun

vo ek baar bhi mujh se nazar mila.e agar

to main use bhi koi mehrban shumar karun

jo tu gaya hai to main bhi chala gaya goya

aur ab bhi dasht-e-tahayyur men ḳhud ko ḳhaar karun

yunhi to main ‘zafar’ is haal ko nahin pahuncha

fareb de jo mujhe us pe e’tibar karun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

indira-varma

Tere Khayal Ka Charcha Tere Khayal Ki Baat

poet

But-Parasti Ne Kiya Aashiq-E-Yazdan Mujhko

poonam-yadav

Baqi Sab Kuchh duniya Mein Be-Mani Hai

poet

Mai-KHana Hai Bina-E-Shar-O-KHair to Nahin

poet

Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi to Aafat Aa Hi Jati Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet