hai irtibat-shikan da.eron men baT jaana
chaman ka mauja-e-bad-e-saba se kaT jaana
kiran ke haq men ye suraj ka faisla kyuun hai
jo farsh-e-ḳhak pukare to duur haT jaana
main par-shikasta na tha badalon ke biich magar
miri uḌaan ka zanjir se lipaT jaana
ye saz-o-raḳht-e-dil-e-bahra-mand kya shai hai
tamam bikhre hue dard ka simaT jaana
ye kaun jhank raha tha daricha-e-shab se
ajab saman tha ghane badalon ka chhaT jaana
kahin pe dast-e-nigarin kahin lab-e-lalin
vo sote sote miri niind ka uchaT jaana
miyan-e-rah ajab pur-faza thi gahri jhiil
main Duub jaata ki achchha hua palaT jaana
Leave a Reply