fikr-e-insan par tiri hasti se ye raushan hua
hai par-e-murgh-e-takhayyul ki rasai ta-kuja
tha sarapa ruuh tu bazm-e-sukhan paikar tira
zeb-e-mahfil bhi raha mahfil se pinhan bhi raha
diid teri aankh ko us husn ki manzur hai
ban ke soz-e-zindagi har shai men jo mastur hai
mahfil-e-hasti tiri barbat se hai sarmaya-dar
jis tarah naddi ke naghmon se sukut-e-kohsar
tere firdaus-e-takhayyul se hai qudrat ki bahar
teri kisht-e-fikr se ugte hain aalam sabza-var
zindagi muzmar hai teri shokhi-e-tahrir men
tab-e-goyai se jumbish hai lab-e-tasvir men
nutq ko sau naaz hain tere lab-e-ejaz par
mahv-e-hairat hai surayya rifat-e-parvaz par
shahid-e-mazmun tasadduq hai tire andaz par
khanda-zan hai ghuncha-e-dilli gul-e-shiraz par
aah tu ujdi hui dilli men aramida hai
gulshan-e-vimar men tera ham-nava khvabida hai
lutf-e-goyai men teri ham-sari mumkin nahin
ho takhayyul ka na jab tak fikr-e-kamil ham-nashin
haae ab kya ho gai hindostan ki sar-zamin
aah ai nazzara-amoz-e-nigah-e-nukta-bin
gesu-e-urdu abhi minnat-pazir-e-shana hai
shama ye saudai-e-dil-sozi-e-parvana hai
ai jahanabad ai gahvara-e-ilm-o-hunar
hain sarapa nala-e-khamosh tere baam dar
zarre zarre men tire khvabida hain shams o qamar
yuun to poshida hain teri khaak men lakhon guhar
dafn tujh men koi fakhr-e-rozgar aisa bhi hai
tujh men pinhan koi moti abdar aisa bhi hai