bazm se jab nigar uthta hai
mere dil se ghubar uthta hai
main jo baitha huun to vo khush-qamat
dekh lo baar baar uthta hai
teri surat ko dekh kar miri jaan
khud-bakhud dil men pyaar uthta hai
us ki gul-gasht se ravish-ba-ravish
rang hi rang yaar uthta hai
tere jaate hi is kharabe se
shor-e-girya hazar uthta hai
kaun hai jis ko jaan aziiz nahin
le tira jan-nisar uthta hai
saf-ba-saf aa khade hue hain ghazal
dasht se khaksar uthta hai
hai ye tesha ki ek shoala sa
bar-sar-e-kohsar uthta hai
karb-e-tanhai hai vo shai ki khuda
aadmi ko pukar uthta hai
tu ne phir kasb-e-zar ka zikr kiya
kahin ham se ye baar uthta hai
lo vo majbur shahr-e-sahra se
aaj divana-var uthta hai
apne yaan to zamane valon ka
rose hi eatibar uthta hai
‘jaun’ uthta hai yuun kaho yaani
‘mir’-o-‘ghalib’ ka yaar uthta hai
Leave a Reply