milta hai har charagh ko saaya zamin par
rahta nahin hai koi akela zamin par
har ek naqsh us ka hava le ke uḌ ga.i
khincha tha ham ne shauq ka naqsha zamin par
badle hue se lagte hain ab mausamon ke rang
paḌta hai asman ka saaya zamin par
gosha zara sa koi amaan ka kahin mile
ji tang ho gaya hai kushada zamin par
har ek mauj ruk si ga.i saans ki tarah
bahta nahin hai ab kahin dariya zamin par
vo jin ko mere ghar ka nishan bhi nahin mila
hairan hain mujh ko dekh ke zinda zamin par
Leave a Reply