• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Uzw-E-Badan Ek Se Hai Ek Tera Khub

Har Uzw-E-Badan Ek Se Hai Ek Tera Khub

poet

har uzv-e-badan ek se hai ek tira khuub

siine ki safai se hai chehre ki safa khuub

qasid ke badan par alif-e-zakhm lage hain

khat ka mire likkha ye javab aap ne kya khuub

agah nahin hai koi ahval se mere

jo mujh pe guzarti hai vo jaane hai khuda khuub

ban ban ke dahan halqa-e-gesu-e-musalsal

luute hai tire bosa-e-ariz ka maza khuub

abtar hua jo sher kaha zulf ka teri

bandha koi mazmun hina ka to bandha khuub

madfun kiya teri hi gali men use akhir

paai tire ashiq ne pas-e-marg bhi ja khuub

do-char hi shab maah to rahta hai nahufta

muddat huui dekha nahin vo maah chhupa khuub

sharbat ke evaz suda-e-almas pilaya

ki aap ne bimar-e-mohabbat ki dava khuub

ruk ruk ke jo dam nikle hai mazbuh ka tere

kya khanjar-e-khun-khvar tira tez na tha khuub

maghrur na hona karam-e-yar pe ‘ghafil’

paega abhi dil ke lagane ki saza khuub

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nida-fazli

Walid Ki Wafat Par

Sher Kahne Ka Maza Hai Ab To

Gesu ruKH-E-Raushan Se Wo Talne Nahin Dete

Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-Hisi Ke Liye

abdul-mannan-tarzi

Khwab Ki Basti Mein Afsane Ka Ghar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet