ab is makan men naya koi dar nahin karna
ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna
zara hi der men kya jaane kya ho raat ka rang
so ab qayam sar-e-rahguzar nahin karna
bayan to kar duun haqiqat us ek raat ki sab
pa shart ye hai kisi ko khabar nahin karna
rafugari ko ye mausam hai sazgar bahut
hamen junun ko abhi jama-dar nahin karna
khabar hai garm kisi qafile ke lutne ki
ye vaqia hai to sair o safar nahin karna
Leave a Reply