mili hai kaise gunahon ki ye saza mujh ko
Darata rahta hai apna hi a.ina mujh ko
main kis fasane ka hissa huun kah nahin sakta
vajud apna bhi lagta hai vaqi.a mujh ko
ab asman ki chalo had talash ki jaa.e
bula raha hai sitaron ka qafila mujh ko
main ka.enat pe apni nigah Dalta huun
tire ḳhayal ki milti hai jab ziya mujh ko
salam karta huun ra.ana.i-e-hayat tujhe
ab aur koi tamasha nahin dikha mujh ko
tiri ḳhamoshi men muzmar hai mera raz-e-suḳhan
ki be-zaban na kar de tiri sada mujh ko
vahi aziim hai jo banTta ho dard-e-vajud
usi ke vasl ka ‘rashid’ hai aasra mujh ko
Leave a Reply