mil us pari se kya kya hua dil
shaida hua dil rusva hua dil
barq-e-tajalli dekh us nigah ki
juun tuur jal kar surma hua dil
us sang-dil ki mai-ḳhvargi se
ḳhun-e-jigar men miina hua dil
hain munqasim ye ḳhun-bar ankhen
jin ki badaulat dariya hua dil
josh-e-junun se ishq-e-butan men
siina hua koh-e-sahra hua dil
sozan hai az bas dagh-e-mohabbat
ik ik ka sa sho.ala hua dil
yunhi ‘muhib’ thi ḳhvahish ḳhuda ki
ab to butan ka banda hua dil
Leave a Reply