• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Din Aise Yun to Aae Hi Kab the Jo Ras The

Din Aise Yun to Aae Hi Kab the Jo Ras The

din aise yuun to aa.e hi kab the jo raas the

lekin ye chand roz to behad udaas the

un ko bhi aaj mujh se hain lakhon shikayaten

kal tak jo ahl-e-bazm sarapa sipas the

vo gul bhi zahr-ḳhand ki shabnam se aT ga.e

jo shaḳhsar-e-dard-e-mohabbat ki aas the

meri barahnagi pe hanse hain vo log bhi

mash.hur shahr bhar men jo nang-e-libas the

ik lafz bhi na meri safa.i men kah sake

vo saare mehrban jo mire as-pas the

tera to sirf naam hi tha to hai kyuun malul

baa.is mire junun ka to mere havas the

vo rang bhi uḌe jo nazar men na the kabhi

vo ḳhvab bhi luTe jo qarin-e-qayas the

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bala Jaane Kisi Ki Hijr Mein Is dil Pe Kya Guzri

Anjuman Mein Jo Meri Itni Ziya Hai Sahab

To Yun Kaho Na Dilon Ka Shikar Karna Hai

Hae Sharm-E-Dilbari Us Dilruba Ke Hath Hai

Jo Kaha Tha Tumhein Suna Bhi Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet