• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Haya Ki Ek Hasin Chadar Agar Tani Nahin Hoti

Haya Ki Ek Hasin Chadar Agar Tani Nahin Hoti

haya ki ik hasin chadar agar taani nahin hoti

tumhari sub.h raushan raat nurani nahin hoti

unhen hargiz nahin milti kabhi bhi ishq ki daulat

vo jin se zindagi men dost nadani nahin hoti

hamari laaj rakh li zindagi ki bhuul ne varna

hamari ishq ki duniya men sultani nahin hoti

dilon ko toḌne vaalo baḌha kar duriyan dekho

mohabbat fasle rakh kar bhi begani nahin hoti

mohabbat kis gali men raqs karti kis pe itrati

agar laila kisi majnun ki divani nahin hoti

qadam tapte hue sahraon pe rakkha hai majnun ne

tabhi to ishq ki duniya men virani nahin hoti

kahan se akbar-e-azam ke gulshan men bahar aati

agar chunari vo jodha.ba.i ki dhani nahin hoti

furui ishq ne ‘maqsud’ rusva kar diya hota

buzurgon ki nasihat tu ne jo maani nahin hoti

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sham-O-Sahar Yun Chupke Chupke Rona Kya

Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se

Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein

Aziyyaton Se Nikalne Ka Mashwara Deti

poet

Karta Hai Bagh-E-dahr Mein Nairangiyan Basant

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet