tu ashiqon ke taiin jab se qatl-e-naz kiya
khushi hain minnat-e-jan se to be-niyaz kiya
kahan ki aql kidhar ke havas kaisa hosh
khirad ke qasr pe tu ne to tark-e-naz kiya
hamare kalba-e-ahzan men kar qadam-ranja
nihal ham ko tu ai sarv-e-sarfaraz kiya
kiya tha tegha-e-abru ne mukhtasar qissa
pa teri kakul-e-mushkin ne phir daraz kiya
dil aur laun kahan se lage jo auron se
jo ek dal tha so vo to tiri niyaz kiya
ye tifl-e-ashk mira ‘azfari’ hai nashudani
javana-marg miri us ne faash raaz kiya