mez chehra kitab tanha.i
ban na jaa.e azaab tanha.i
kar rahe the saval sannaTe
de rahi thi javab tanha.i
aankh se TuuT kar gire aansu
ho ga.i be-naqab tanha.i
vasl ke ek ek lamhe ka
mangti hai hisab tanha.i
ahaTon ko bhi qatl kar degi
duur tak kamyab tanha.i
chand be-chehra sa.aton ka ‘salim’
sah rahi hai azaab tanha.i
Leave a Reply