meri thoḌi aankh lagi to jaane kya kya bandh liya
jadugar ne ik rumal men puura sahra bandh liya
aḳhir men ḳhairat baTi to saare guttham-guttha the
main ne pichhe baiThe baiThe jo dil chaha bandh liya
ye jo yaar mayassar hai naan saara mera apna na.in
savan ka ye matlab na.in ki jo kuchh barsa bandh liya
manzar hi kuchh aisa tha ki lalach karna banta tha
aadha dekh ke raqs kiya aur baaqi aadha bandh liya
ek karishma ye bhi hai ki us ki mast nigahon ne
jab dil chaha aankh dikha kar chalta dariya bandh liya
Leave a Reply