meri taqdir muafiq na thi tadbir ke saath
khul gai aankh nigahban ki bhi zanjir ke saath
khul gaya mushaf-e-rukhsar-e-butan-e-maghrib
ho gae shaikh bhi hazir nai tafsir ke saath
na-tavani miri dekhi to musavvir ne kaha
dar hai tum bhi kahin khinch aao na tasvir ke saath
ho gaya tair-e-dil said-e-nigah-e-be-qasd
sai-e-bazu ki yahan shart na thi tiir ke saath
lahza lahza hai taraqqi pe tira husn-o-jamal
jis ko shak ho tujhe dekhe tiri tasvir ke saath
baad sayyad ke main college ka karun kya darshan
ab mohabbat na rahi is but-e-be-pir ke saath
main huun kya chiiz jo us tarz pe jaun ‘akbar’
‘nasikh’ o ‘zauq’ bhi jab chal na sake ‘mir’ ke saath
Leave a Reply