ki ehtiyat dal ne bahut par kaha gaya
chhoḌi jo un ki raah to dar dar kaha gaya
saaqi ne mere naam pe saghar paTak diya
tishna-labi ko mera muqaddar kaha gaya
har chashm-e-iltifat ke husn-e-nigah ko
a.ina-e-ḳhulus ka jauhar kaha gaya
ehsas-e-husn-e-zarf se milti hai aabru
paani ki ek buund ko gauhar kaha gaya
ai sub.h ki kiran ye ḳhayalat-e-zindagi
vo baat kaun thi jise ghar ghar kaha gaya
parvaziyon ki sharh nazar tak na kar saki
lekin ḳhayal-e-ta.ir-e-be-par kaha gaya
nairangiyon ki baat hai ai ariz-e-jamal
sho.ala dahak uTha to gul-e-tar kaha gaya
‘jumbish’ sakun-navaz-mizaji ko chhoḌiye
ḳhamoshi-e-hayat ko akasr kaha gaya
Leave a Reply