miri talab ka ye hasil ye mudda.a Thahra
tire karam ka sahara hi aasra Thahra
koi hava-e-zamana use miTa na saki
tumhari yaad ka har naqsh der-pa Thahra
mata.a-e-kaun-o-makan se aziz-tar mujh ko
jo iltifat mire dard ki dava Thahra
kisi ke naqd-o-nazar ka to kuchh nahin lekin
tiri nigah men kya janiye main kya Thahra
ab is ke baad jo hona hai soch lo ḳhud hi
mila hua hai jo tufan se naḳhuda Thahra
tumhari yaad se bach kar guzar gaya jo kabhi
vo ek lamha bhi sadiyon ka fasla Thahra
shu.ur-e-rah-ravi main ne jis ko baḳhsha tha
ḳhusha-nasib vahi mera rahnuma Thahra
haqir zarra zara vaqt jis ke saath hua
chamak uTha to vahi vaqt ka ḳhuda Thahra
tire hi naam ki nisbat mira ta.aruf hai
main kuchh hi kyon na raha tera naqsh-e-pa Thahra
umid-o-bim ka vo ma.arka bhi kya tha ‘qamar’
bas ik nazar miri qismat ka faisla Thahra
Leave a Reply