• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hazaron Aarzuen Sath Hain Is Par Akeli Hai

Hazaron Aarzuen Sath Hain Is Par Akeli Hai

shad-azimabadi

hazaron arzuen saath hain is par akeli hai

hamari ruuh be-bujhi hui ab tak paheli hai

budhapa ho to ho us rabt men kyuun kar khalal aae

miri yas-o-tamanna bachpane se saath kheli hai

ajal bhi tal gai dekhi gai halat na ankhon se

shab-e-gham men musibat si musibat ham ne jheli hai

adam ka tha safar jab aur kuchh tosha na haath aaya

bahut si aarzu chalte chalate saath le li hai

zara dekho to un utre hue chehron ko phulon ke

maaz-allah jhonka hai khizan ka ya ki seli hai

kabhi jamne na deti be-khudi khatir pe naqsh un ka

ba-mushkil main ne ye tasvir usi ayyar se li hai

hamari aur gulon ki ek hai nashv-o-numa lekin

vahan mutthi men zar hai aur yahan khali hatheli hai

na puchho ‘shad’ virani ko dil ki kya bataun main

tamanna ja chuki hasrat gharib is men akeli hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aankh Mein KHwab Nahin KHwab Ka Sani Bhi Nahin

Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai

riyaz-khairabadi

Ji Uthe Hashr Mein Phir Ji Se Guzarne Wale

Raegan Ishq Ka Anjam Kahan Hota Hai

Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet