meri raton ka safar tuur nahin ho sakta
tu na chahe to bayan nuur nahin ho sakta
main ne hijrat ke kai daur kade dekhe hain
main kitabon se kabhi duur nahin ho sakta
meri fitrat ki main khil jaata huun be-mausam bhi
meri aadat ki main majbur nahin ho sakta
tu ne kis shauq se likkha hai taaruf mera
main kisi lafz men mahsur nahin ho sakta
mere andar bhi tire naam ki chingari hai
tu mire vaste kyuun tuur nahin ho sakta
jo yahan lafz ki sarhad ke udhar rahta hai
bastiyon men kabhi mash.hur nahin ho sakta
zinda insan use abad kiya karte hain
ghar kisi khvab se maamur nahin ho sakta
ghar ke bahar sabhi lafzon ke tamashai hain
ghar ke andar koi masrur nahin ho sakta
jism ke saare taqaze hain adhure ‘ahmad’
ye tasavvur kabhi bharpur nahin ho sakta
Leave a Reply