chal diya vo us tarah mujh ko pareshan chhoḌ kar
mausam-e-gul jaise jaa.e hai gulistan chhoḌ kar
go bharosa hai mujhe apne ḳhulus-e-shauq par
kaun aa.ega yahan jashn-e-baharan chhoḌ kar
vo jo apne saath laaya tha gulistan ki bahar
ja raha hai ab kahan vo ghar ko viran chhoḌ kar
yuun laga mujh ko ki goya hashr barpa ho gaya
yak-ba-yak vo chal diya mera shabistan chhoḌ kar
mujh ko shauq-e-husn men tahzib hazir chahiye
gulistan men aa gaya huun main bayaban chhoḌ kar
lala-o-gul men ayaan hain husn-e-fitrat ke rumuz
mutma.in huun ishq men dasht-o-bayaban chhoḌ kar
yuun sar-e-mahfil vaqar-e-husn ko rusva na kar
us ka daman thaam le apna gareban chhoḌ kar
ji raha huun rashk ke mahaul men kuchh is tarah
jis tarah yusuf gaya tha arz-e-kan.an chhoḌ kar
main ne ḳhud us ke tasavvur ko bulaya hai yahan
ab nahin ja.unga bahar ghar men mehman chhoḌ kar
ho gaya paida nizam-e-gul men behad intishar
jab gaya gulshan men vo zulfen pareshan chhoḌ kar
sozish-e-ulfat mujhe matlub hai bahr-e-hayat
ho gaya huun mutma.in main rasm-e-darman chhoḌ kar
kis qadar zabt-e-junun ne kar diya hai hoshiyar
daman-e-ummid thama hai gareban chhoḌ kar
main talash-e-husn se aisa hua huun munsalik
ja raha huun zindagi ka saz-o-saman chhoḌ kar
Leave a Reply