meri basti men jo suraj kabhi utra hota
main badan hota tira to mira saaya hota
kis ki be-mehr ada se hamen shikva hota
ham kisi ke na hue kaun hamara hota
jaan par khel ke main rah-e-vafa tai karta
us ki janib se magar kuchh to ishara hota
dil ka ehsan hai jo bujh gaya ḳhud hi varna
jaane main kis ko kahan DhunDne nikla hota
us ko paane ki to hasrat hai use pa kar bhi
kis ko ma.alum hai dil yuun hi akela hota
duur se khinchta rahta hai jo tasvir miri
kaash us ne kabhi nazdik se dekha hota
sun ke yaron ke alam sochta rahta huun ki main
kaise jiita jo tira pyaar bhi jhuTa hota
mere aibon men hai shamil miri majburi bhi
main bhi insan na hota to farishta hota
tum na aa.e kabhi nazdik to achchha hi kya
log nadan hain yunhi shahr men charcha hota
duniya-dari men paḌe hote jo tum bhi ‘anjum’
dil bhi ḳhush rahta sada naam bhi uncha hota
Leave a Reply