miri ankhon men dariya jhulta hai
ye paani ab kinara dhundta hai
ye paani ret ki tah se guzar kar
taalluq hai to rasta dhundta hai
taalluq ko na samjho javedani
ye aina hava se tutta hai
hamari pyaas rukhsat chahti hai
pyala haath se ab chhutta hai
Leave a Reply