miri ankhen gavah-e-tal.at-e-atish huiin jal kar
pahaḌon par chamakti bijliyan niklin udhar chal kar
zaban ka za.iqa bigḌa hua hai mai pila saaqi
sumum-e-dasht ne sab rakh diye kam-o-dahan tal kar
rumuz-e-zindagi sikhe hain mere shauq-e-vahshat ne
ka.i sahib-nazar zindaniyon ke biich men pal kar
ye kis zauq-e-numu ko aaj dohrane bahar aa.i
lahu ham sarfaroshon ka jabin-e-naz par mal kar
vo jin ki ḳhu se kal ik abr-e-tar ḳhvab-e-mohabbat tha
unhi ko rakh diya phir kyuun khule hathon se mal-dal kar
ruḳh-e-dauran pe hai ik niil sa karb-e-taghayyur se
varaq tanbe ka kho deta hai rangat aag men gal kar
hari sham.en si anguron ki belon men jo chamkin thiin
vahi ab surḳh rangon men jali hain jaam men Dhal kar
vahi ik ru-e-atish-rang hai halki si dastak hai
samundar paar ki mauj-e-hava jaati nahin Tal kar
jab aa.i sa.at-e-be-tab teri be-libasi ki
to a.ine men jitne zaviye the rah ga.e jal kar
mahak men zahr ki ik lahr bhi ḳhvabida rahti hai
ziden aapas men Takrati hain farq-e-mar-o-sandal kar
shab-e-afsana-ḳhvan to shahr ki aḳhir hui ‘madni’
kahan jaate ho tum nikle hue yuun niind men chal kar
Leave a Reply