mere raste men bhi ashjar ugaya kiije
main bhi insan huun mire sar pe bhi saaya kiije
raat din raah men ankhen na bichhaya kiije
raushni men to charaghon ko bujhaya kiije
aap itna to mire vaste kar sakte hain
aap us shakhs ki baten hi sunaya kiije
haath men jo hai bahar us ko to aane diije
kaghazon par to hare ped banaya kiije
raste dhuup se pighle hi chale jaate hain
aap badal hain to phir shahr pe saaya kiije
qaid-e-tanhai men kya aaegi koi avaz
baith kar apni hi zanjir hilaya kiije
ja chuka shahr se vo apni udasi le kar
umr bhar ab dar-o-divar sajaya kiije
lijiye tod gaya dam vo sadaon ka dasa
chikhiye ab ki yahan shor machaya kiije
phuul khilte hain kahan khushk chatanon men ‘adim’
raah ke sang hi ankhon se lagaya kiije