mire paanv ke niche bhi zamin hai
mujhe hijrat ka koi dukh nahin hai
kabhi na-ashna tujhe saare raste
magar har rasta ab dil-nashin hai
kabhi saare hi mausam ajnabi the
magar ab dil men har mausam makin hai
kabhi mera badan hi tha yahan par
magar ab dil ki duniya bhi yahin hai
kabhi har shaam be-manzar yahan thi
magar har shaam ab behad hasin hai
to kya main naqsh-e-mazi bhuul baiTha
nahin aisa nahin aisa nahin hai
hava.en dost ban jaa.en jahan par
vahi ‘ashfaq’ dil ki sar-zamin hai
Leave a Reply