gham-e-ulfat hai sabab ḳhalq men rusva.i ka
naam badnam hua kyon shab-e-tanha.i ka
TukḌe TukḌe hai jigar aap ke sauda.i ka
samna aaj bhi hai hashr men rusva.i ka
maut aati hai na imkan hai shakeba.i ka
aag lag jaa.e bura ho shab-e-tanha.i ka
dil ke TukḌe na karo husn ki zinat hai yahi
aa.ina TuuTa to kya lutf ḳhud-ara.i ka
paḌ ga.i ahal-e-qayamat ki gareban pe nazar
chhiḌ gaya hashr men qissa miri rusva.i ka
phir kashish ne dar-e-mahbub ki khincha dil ko
phir hua zauq hamen nasiya-farsa.i ka
ghaTti jaati hai charagh-e-dil-e-sozan ki ziya
baḌhta jaata hai andhera shab-e-tanha.i ka
kyon na insan ho mushtaq-e-tilism-e-duniya
dil bahalta hai tamashe se tamasha.i ka
chha ga.i zulmat-e-gham dil pe ḳhuda ḳhair kare
aa gaya chand gahan men shab-e-tanha.i ka
halat-e-naza.a hai dam toḌ raha hai bimar
na-tavani men ye aalam hai tavana.i ka
kar chuke aap hamara dil-e-murda zinda
saath iisa ke gaya daur masiha.i ka
aankh men maut ki phir jaati hai surat ab tak
ba-ḳhuda naam bura hai shab-e-tanha.i ka
ḳhair itna to hua mashq-e-jafa se hasil
aa gaya tum ko saliqa sitam-ara.i ka
aaj hai kal se ghanimat ye suna jaata hai
dur-az-hal mizaj aap ke sauda.i ka
le gaya husn-e-ḳhuda-dad buton ka ‘mas.ud’
maqdarat sabr ki imkan shakeba.i ka
Leave a Reply