
Navin Joshi
mere ḳhvabon ko mujh se gila rah gaya
main haqiqat men hi mubtala rah gaya
main bhi qisse sunata safar ke magar
yaad mujh ko bas ik marhala rah gaya
rah ga.e kitne kirdar bhitar mire
mere bhitar mira qafila rah gaya
faslon men raha qurbaton ka guman
qurbaton men kahin fasla rah gaya
ḳhairiyat puchhna aur batana kabhi
nisbaton men yahi silsila rah gaya
koi kundan hua to koi ko.ela
ek main hi tha jo adh-jala rah gaya
taul ke beche the main ne TukḌe sabhi
jaane kaise ye dil antula rah gaya
zindagi ji to li sharton pe apni ab
kya karun is ka ye jo sila rah gaya

Leave a Reply