mere harif hi ko sahi chahta to hai
ab us ki zindagi men koi tisra to hai
maana guzarta hai vo masruf zindagi
lekin kabhi kabhi hi mujhe sochta to hai
chhalki hui hain sa.at-e-jan ki gulabiyan
mahfil men ansuon ki abhi rat-jaga to hai
us ko udaas dekh ke kitni ḳhushi hui
meri tamam umr ka gham-ashna to hai
nok-e-mizha pe us ki sitara kabhi kabhi
mere dhaḌakte dil ki tarah kanpta to hai
sach hai ki titliyon se use hai munasibat
kam kam hi barg-e-dil pe magar baiThta to hai
angḌa.iyon se phuul ki aati to hai sada
ḳhushbu ka shoḳh-o-shang badan TuTta to hai
Leave a Reply