mire ghamon ka kisi ne ḳhayal bhi na kiya
kisi se main ne magar arz-e-hal bhi na kiya
main duur tak use dekha kiya na jaane kyon
Thahar ke jis ne zara sa malal bhi na kiya
phira main baagh men manind-e-barg-e-avara
shamim-e-gul ne magar pa.emal bhi na kiya
harif ho ga.i duniya ye kya kiya main ne
kisi hunar men kuchh aisa kamal bhi na kiya
shikast-e-jam pe main phuuT phuuT kar roya
shikasta shisha-e-dil ka ḳhayal bhi na kiya
miri sarisht men vo la-sharik tha ki mujhe
ḳhuda-e-sahab-e-ahl-o-ayal bhi na kiya
sitam-kashon ne hazaron saval soche the
sitam-shi.ar ne lekin saval bhi na kiya
Leave a Reply