Mere Dil Mein KHushbu Basi Thi Jo Wo Makan Apna Badal Gai

mire dil meñ ḳhushbū basī thī jo vo makān apnā badal ga.ī

kisī aur abr kī chhāñv meñ baḌī duur mujh se nikal ga.ī

vo jo barf abhī thī jamī huī kisī maslahat ke hisār meñ

zarā vaqt kī jo havā lagī to vo ek pal meñ pighal ga.ī

mire ghar kī ūñchī muñDer pe vo jo kaalī billī thī ghūmtī

vahī aa ke chupke se raat meñ mirī fāḳhta ko nigal ga.ī

baḌī tañgiyoñ meñ palī huī vo ġhazal dukhoñ meñ baḌī huī

tujhe lutf-e-aish na de sakī to vo terī raah meñ jal ga.ī

use dekhne kī thī aarzū mujhe us kī thī baḌī justujū

magar us ke āriz-e-nāz pe mirī har nigāh phisal ga.ī

Leave a Comment