main us ki baat ki tardid karne vaala tha
ik aur hadsa mujh par guzarne vaala tha
kahin se aa gaya ik abr darmiyan varna
mire badan men ye suraj utarne vaala tha
mujhe sambhal liya teri ek aahaT ne
sukut-e-shab ki tarah main bikharne vaala tha
ajiib lamha-e-kamzor se main guzra huun
tamam silsila pal men bikharne vaala tha
main laḌkhaḌa sa gaya saya-e-shajar men zarur
main raste men magar kab Thaharne vaala tha
ab asman bhi baḌa shant hai zamin bhi sukhi
guzar gaya hai jo ham par guzarne vaala tha
laga jo piiTh men aa kar vo tiir tha kis ka
main dushmanon ki safon men na marne vaala tha
Leave a Reply