• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Bahte Ashkon Mein Zaiqa Nahin Hoga

Mere Bahte Ashkon Mein Zaiqa Nahin Hoga

mere bahte ashkon men za.iqa nahin hoga

jab talak talatum men mo.ajiza nahin hoga

sab parind shaḳhon se jaan bacha ke uḌte hain

vo jo mar gaya shayad vo uḌa nahin hoga

asman vaale ḳhud phir tumhen gira denge

gar tumhare shanon par hausla nahin hoga

bas guzarne vaale ka itna dukh to hai mujh ko

ab kabhi kahin us se rabta nahin hoga

ab hamari ghazlon ko raushni nahin milti

vo hamare baare men sochta nahin hoga

raushni hava jaadu sab purane qisse hain

haan tumhari ankhon se kuchh siva nahin hoga

main tiri amanat huun tu meri amanat hai

ye jo vaqt hai ‘sajid’ ye sada nahin hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Ishq-O-Rizq Ke Jal Mein Nahin Aaega

Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain

Pyar Ki Har Ek Rasm Ki Jo Matruk Thi Maine Jari Ki

Chaal Apni Ada Se Chalte Hain

Dilon Se KHauf Ke Aaseb-O-Jin Nikalta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet