• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi to Zehan Ke Dar Par Zarur Dastak De

Koi to Zehan Ke Dar Par Zarur Dastak De

koi to zehan ke dar par zarur dastak de

agar shu.ur na de la-shu.ur dastak de

tulu-e-sub.h ka manzar ajiib hota hai

jab asman se sada-e-tuyur dastak de

is intizar men hai mera qasr-e-be-ḳhvabi

ki koi nind-pari koi huur dastak de

fasil-e-shahr-e-tamanna ki tirgi bhi chhaTe

kabhi to us pe koi sub.h-e-nur dastak de

phir ek baar azab-e-shikastagi se guzar

phir us ke dar pe dil-e-na-subur dastak de

ana ke ḳhol se niklen to yuun bhi mumkin hai

dar-e-faqir pe dast-e-ghurur dastak de

ham aur nuur ki ḳhairat mangne jaa.en

hamare dar pe to ḳhud koh-e-tur dastak de

mujhe ghayab ka aalam ziyada raas aaya

magar kabhi kabhi shauq-e-zuhur dastak de

hudud-e-vaqt ke darvaze muntazir hain ‘nasim’

ki tu ye fasle kar ke ubuur dastak de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zaKHmon Ko Marham Kahta Hun Qatil Ko Masiha Kahta Hun

meer-mehdi-majrooh

Uske Nibhne Ke Kuchh Nahin Asbab

Ahd Hazir Mein Ayar-E-Subh to Badla Magar

ahmad-tariq

dar Ke Baitha Hun Sar-Nigun Wahshat

Kaisa Maftuh Sa Manzar Hai Kai Sadiyon Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet