dhuup luTa kar ambar jab kangal hua
chand uga kar phir se mala-mal hua
sanjh phisal kar DevḌhi par aa laTki hai
angan se chaubare tak sab laal hua
yaad vahin ThiThki hai jahan tum chhoḌ ga.e
lamha din saptah mahina saal hua
dhuup aTak kar baiTha ga.i hai chhajje par
osare ka uThna aaj muhal hua
chun chun kar vo deta tha har dard mujhe
choT lagi jab ḳhud ko to behal hua
kal tak jo deta tha utar prashnon ka
aaj vahi uljha sa ek saval hua
chhuTpan men jis ki sangat thi chain mira
umr baḌhi to vo ji ka janjal hua
Leave a Reply