• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Badan Mein Pighalta Hua Sa Kuchh to Hai

Mere Badan Mein Pighalta Hua Sa Kuchh to Hai

mire badan men pighalta hua sa kuchh to hai

ik aur zaat men Dhalta hua sa kuchh to hai

miri sada na sahi haan mira lahu na sahi

ye mauj mauj uchhalta hua sa kuchh to hai

kahin na aḳhiri jhonka ho miTte rishton ka

ye darmiyan se nikalta hua sa kuchh to hai

nahin hai aankh ke sahra men ek buund sarab

magar ye rang badalta hua sa kuchh to hai

jo mere vaste kal zahr ban ke niklega

tire labon pe sambhalta hua sa kuchh to hai

ye aks paikar-e-sad-lams hai nahin na sahi

kisi ḳhayal men Dhalta hua sa kuchh to hai

badan ko toḌ ke bahar nikalna chahta hai

ye kuchh to hai ye machalta hua sa kuchh to hai

kisi ke vaste hoga payam ya koi qahr

hamare sar se ye Talta hua sa kuchh to hai

ye main nahin na sahi apne sard bistar par

ye karvaTen si badalta hua sa kuchh to hai

vo kuchh to tha main sahara jise samajhta tha

ye mere saath phisalta hua sa kuchh to hai

bikhar raha hai faza men ye duud raushni ka

udhar pahaḌ ke jalta hua sa kuchh to hai

mire vajud se jo kaT raha hai gam-ba-gam

ye apni raah badalta hua sa kuchh to hai

jo chaTta chala jaata hai mujh ko ai ‘bani’

ye astin men palta hua sa kuchh to hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yunhi Kabhi Machal Gae Yunhi Kabhi Bahal Gae

Ek Aas Ka Diya to Dil Mein Jalate Jao

aanis-moin

Ye Qarz To Mera Hai Chukaega Koi Aur

poet

Khub-Ru Sab Hain Magar Hura-Shamail Ek Hai

Dasht Mein Ghas Ka Manzar Bhi Mujhe Chahiye Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet