mausam ka zahr daagh bane kyuun libas par
ye soch kar na baiTh saka sabz ghaas par
muddat hui ki ta.ir-e-jan sard ho chuka
uḌte rahe havaon men kuchh bad-havas par
suraj ka phuul abr ke patton men gum raha
shab ke shajar ka saaya raha mujh udaas par
vo ja chuka hai moḌ se ankhen haTa bhi le
bekar honT sabt hain ḳhali gilas par
kaise nasib ho tiri baton ka za.iqa
ji aa gaya hai taaza phalon ki miThas par
behtar hai ḳhud hi ajnabi ban kar use milen
ilzam aa.e kyuun mire surat-shanas par
ehsas bhi na tha ki hai patthar mira badan
haan Dubna paḌa hai ubharne ki aas par
paani ko rokiye ki na honTon tak aa sake
beja na uzr aa.e kahin meri pyaas par
ye karobar dard ka phir phailta gaya
kholi dukan thi zaḳhm-e-hunar ki asaas par
‘shahid’ hue hain dard ke sho.alon se be-ḳhabar
chingari phenk diije hava men kapas par
Leave a Reply