jab ziist ke mushkil lamhon men apne bhi kinara karte
us vaqt bhi ham ai ahl-e-jahan hans hans ke guzara karte hain
sayyad ne tere asiron ko aḳhir ye kah kar chhoḌ diya
ye log qafas men rah kar bhi gulshan ka nazara karte hain
jazbat men aa kar marna to mushkil si koi mushkil hi nahin
ai jan-e-jahan ham tere liye jiina bhi gavara karte hain
manjdhar men naav Duub ga.i to maujon se avaz aa.i
dariya-e-mohabbat se ‘kausar’ yuun paar utara karte hain
Leave a Reply