mire badan men lahu ka katav aisa tha
ki mera har-bun-e-mu ek ghaav aisa tha
bichhadte vaqt ajab uljhanon men daal gaya
vo ek shakhs ki sidhe subhav aisa tha
chali jo baat koi raat ke taaqub men
to baat baat se nikli bahav aisa tha
main puura puura ravana tha abjadon ki taraf
hisab-e-umr tira chal-chalav aisa tha
gul-e-nashat ki khushbu bhi baar thi mujh ko
mire mizaj men gham ka rachav aisa tha
kanar-e-lab men na rahti thi mauj-e-goyai
tabiaton men sukhan ka bahav aisa tha
thaharta kya miri khakistari nigahon men
tira vajud to raushan alaav aisa tha
nikal saki na koi bhi farar ki surat
sipah-e-zist ka mujh par padav aisa tha
na chaah kar bhi use dil se chahte the ham
kisi ki laag men ‘tabish’ lagav aisa tha
Leave a Reply