mira soz bhi tarannum miri aah bhi tarana
miri zindagi se sikhe koi gham men muskurana
ye sitam-taraz duniya hai usi ki Thokaron men
gham-e-zindagi ko jis ne gham-e-zindagi na jaana
na qafas hi mo’atabar hai na chaman se mutma.in dil
vahin bijliyan bhi hongi jahan hoga ashiyana
ise jo bana.e insan ise jo samajh le duniya
yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana
kabhi chashm-e-baghban men kabhi barq ki nazar men
kahin main khaTak raha huun kahin mera ashiyana
Leave a Reply