chaar samton men nazar rakhta huun main charon par
tiir kab lauT ke a.enge kaman-daron par
sub.h uThe to qadam ko.ela the aur ham the
niind men chalte rahe hijr ke angaron par
dastan men jahan ik da.imi din hota tha
ab vahan shaam utar aati hai kirdaron par
naqsh-e-ibrat ka sab asbab uThaya ḳhud hi
ham ne ye kaam bhi chhoḌa unhin divaron par
saya-dari ki rivayat bhi kahan aa pahunchi
mauj-e-ḳhun chhanv kiye rakhti hai talvaron par
ab khula ḳhvab men kuchh ḳhvab milata tha main
ḳhaak uḌata tha main sayyaron ki sayyaron par
raat ke TuTte taron men hamen rakha gaya
hamen parkha gaya girte hue me.ayaron par
Leave a Reply