jab hua irfan to gham aram-e-jan banta gaya
soz-e-janan dil men soz-e-digaran banta gaya
rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman
dhire dhire naghma-e-dil bhi fughan banta gaya
main akela hi chala tha janib-e-manzil magar
log saath aate gae aur karvan banta gaya
main to jab janun ki bhar de saghar-e-har-khas-o-am
yuun to jo aaya vahi pir-e-mughan banta gaya
jis taraf bhi chal pade ham abla-payan-e-shauq
khaar se gul aur gul se gulsitan banta gaya
sharh-e-gham to mukhtasar hoti gai us ke huzur
lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya
dahr men ‘majruh’ koi javedan mazmun kahan
main jise chhuta gaya vo javedan banta gaya
Leave a Reply