• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Badal Chuki Hai Har Ek Yaad Apni Surat Bhi

Badal Chuki Hai Har Ek Yaad Apni Surat Bhi

shabnam-shakeel

badal chuki hai har ik yaad apni surat bhi

vo ahd-e-rafta ka har khvab har haqiqat bhi

kuchh un ke kaam nikalte hain dushmani men miri

main dushmanon ki hamesha se huun zarurat bhi

kisi bhi lafz ne thama nahin hai haath mira

main padh ke dekh chuki akhiri ibarat bhi

ye jis ne rok liya mujh ko aage badhne se

vo meri be-gharazi thi miri zarurat bhi

miri shikasta-dili hi ba-ru-e-kar aai

vagarna vaqt to karta nahin riayat bhi

main apni baat kisi se bhi kar na paungi

mujhe tabah karegi ye meri aadat bhi

main kaise baat bhala dil ki maan luun ‘shabnam’

ki us ko mujh se mohabbat bhi thi adavat bhi

ye mera ijz ki dil men use utarne diya

ye us ka maan ki mangi nahin ijazat bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Samne Aaina Tha Masti Thi

Ye Kaj-Adai Ye Ghamza Tera Kabhi Phir Yar!

aftab-iqbal-shamim

Wo Itr-e-Khak Ab Kahan Pani Ki Bas Mein

KHud Hi Taslim Bhi Karta Hun KHataen Apni

gulzar

Champai dhup

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet